Jaane kis ore hai ishaara.. !

Zindagi se nikal toh dia ushe, dil mai phir bhi basa hai woh 
khamoshi ki faansh chubti rahi ,duwa kam badi saza hai woh 
tut tut ke yuh bikharte gaye hum, ki kismat leti rahi imtihaan humara
naa bhul sake ushe, naa bulaa paaye ushe 
jaane kya chahati hai dharkein .. jaane kis ore hai ishaara.. !

Door chod aaye the kahin, phir aagle mod pe takra gaya woh
humne toh ushe hasaya tha., hume toh rulaa gaya woh 
behte ashko ke sath yaadien nai behti hai, jaane kya mange tuta kinaara
agge nikal ke bhi piche reh jaate hain hum 
jaane kya chahati hai dharkein ... jaane kis ore hai ishaara.. !!

Meri khawabo ke sehar ko, pal mai ujaad gaya woh 
sihaai mohabat ki rang laati, pehle hee bigaad gaya woh
meri zindagi ki imtihaano ne ushke rasto ko hai sawaara 
woh hogaye kisi ke, hum tanha reh gaye..phir bhi
jaane kya chahati hai dharkein... jaane kis ore hai ishaara.. !! 

No comments:

Post a Comment