Roshni ka intzaar hai.

Waqt ko jaise ruke rehne ki lat si lag gai hai
khawabo ko tutne ki adat si pad gai hai
pane zindagi ke adhure se aar paar hai
main ho jaaun inh se anjaan ya yeh hojaaye mujhse ajnabee
taare kuch jaane pehchaane phir  bhi ....roshni ka intzaar hai.

Mukuraatein hooton ki daastn-e-ruk gai hai
masoom se dil ki umeede tut gai  hai
chalte patte bhi mazile paa jaye..par nasib ka humare na aitbaar hai
hum naa samjhe taaro ko ..woh na samjhe hume 
taare kuch jaane pehchaane phir bhi ..roshni ka intzaar hai.

Thaki hui raahon pe kadam ladkhaate hain
dabi hui khawisho ko palko mai hum chupaate hain
sath dia chaar pal ko ..jaane phir kaisa yeh inkaar hai
mil ke bhi juda hojaate hain.. juda hoke kabhi na mile
taare kuch jaane pehchaane phir bhi.. roshni ka intzaar hai...!!


No comments:

Post a Comment