Ushka yeh jootha pyaar tha... !!

Dil todh diya ushne ish kadar 
ki dil ka har tukda ashiqui karne laga 
bich raaha mai laakar chod dia ish kadar
ki manzil chod apni dil ..awaargi karne laga
humne toh ankh band karke unhpe aitbaar tha
kya pata tha... jhalawa hai sab
mere liye afsaana ..ushka yeh jootha pyaar tha.. !

Hasti ankhon ko rulaaya aisa 
ki nami ko hum chupaa na sake 
zakham diye itne gehre ushne 
ki ushhe hum bhulaa na sake 
laga jaise  dua mai chupa intzaar tha 
hum muskuraate rahe gaye.. bin kuch kahen
mere liye afsaana ..ushka yeh jootha pyaar tha.. !!

Khawabo ke ashiyaan ko aisa
biker dia bus ek pal mai 
kal jo bikhari bikhari si khusiyan thi
simat ke reh gai ghum ke anchal mai
tut tut ke chaha tumhe jisne woh mera izhaar tha
do sabdo ki umeed thi tumse ..kyuki
mere liye afsaana.. ushka yeh jootha pyaar tha... !! 








No comments:

Post a Comment